LYRIC

Main agar sitaron se chura ke laun roshini
Hawaaon se chura ke laun ragini
Na poori ho sakegi unse magar teri kami

Main agar nazaaron se chura ke laun rangatein
Mazaaron se chura ke laun barkatein
Na poori ho sakegi unse magar teri kami

Ye duniya parayi hain
Bas ek apna hai tu
Jo sach ho mera
Woh savere ka sapna hai tu

Dekhunga tera raasta
Ho kuch tujhe bas khuda na khasta

Ho tere bina umar ke safar mein
Bada hi tanha hoon main
Raftaar jo waqt ki pakad na sake
Woh lamha hoon main

Falgun ke mahine tere bina hain pheeke
Jo tu nahi toh saare saawan mere sukhe

Main agar kitaabon se chura ke laun kaayde
Hisabon se chura ke laun faayde
Na poori ho sakegi unse magar teri kami

Main agar sitaron se chura ke laun roshni
Hawaaon se chura ke laun ragini
Na poori ho sakegi unse magar teri kami

Ye duniya parayi hain
Bas ek apna hai tu
Jo sach ho mera
Woh savere ka sapna hai tu

Dekhunga tera raasta
Ho kuch tujhe bas khuda na khasta

Khuda na khasta.. (x2)

Added by

N R

SHARE

Your email address will not be published. Required fields are marked *

ADVERTISEMENT

VIDEO

%d bloggers like this: