LYRIC
Ghor andhera, kehta raha
Haar jaa..
Ek sitaara, mana nahi..
Na daraa
Roshni ki ik boond pe
Zinda raha woh
Zinda raha woh
Zindagi ki kuch doriyon ko
Jakde hue, kehta raha
Haq hai mujhe jalne ka
Haq hai mujhe jeene ka
Haq hai mera ambar pe
Leke rahunga haq mera
Leke rahunga haq mera
Karta hoon wada…
Mere lahu ka, katra abhi
Garam hai
Ek adhura, mera abhi
Karm hai..
Din mahine.. Har saal ki
Ginta raha woh
Ginta raha woh
Hosle ki kuch tiliyon
Ko pakde hue kehta raha ..
Haq hai mujhe jalne ka
Haq hai mujhe jeene ka
Haq hai mera ambar pe
Leke rahunga haq mera
Leke rahunga haq mera
Karta hoon wada…
Main janta hoon
Mujhe aakhir ik na ik din marna hai
Par jab talak bhi jeeu
Ho jeena kaisa tay karna hai..
Mitti ki kaaya mein lohe ka hai irada
Haq hai mujhe jalne ka
Haq hai mujhe jeene ka
Haq hai mera ambar pe
Leke rahunga haq mera
Leke rahunga haq mera
Tu dekh lena…
No comments yet