LYRIC
Chal pade hain hum aisi raah pe
Befikar hue ke ab jaana kahan
Lapata hue saare raaste
Dhoondega humein yeh zamana kahan
Yeh samaa hai kaisa
Muskurane jaisa
Dheemi baarishein hain har jagah
Yeh nasha hai kaisa
Doob jaane jaisa
Jaagi khwaishein hain har jagah
Gazab ka hai yeh din
Gazab ka hai yeh din
Gazab ka hai yeh din dekho zara (x2)
Paani hoon paani main
Haan behne do mujhe
Jaisa hoon waisa hi
Rehne do mujhe
Duniya ki bandishon se
Mera naata hai kahan
Rukna theharna mujhko aata hai kahan
Yeh samaa hai kaisa
Muskurane jaisa
Dheemi baarishein hain har jagah
Yeh nasha hai kaisa
Doob jaane jaisa
Jaagi khwaishein hain har jagah
Gazab ka hai yeh din
Gazab ka hai yeh din
Gazab ka hai yeh din dekho zara (x2)
Neeli hai kyun zameen
Neela hai kyun samaa
Lagta hai ghaas par soya aasmaan
Yeh mastiyan meri
Manmaniyan meri
Lo mil gayi mujhe aazadiyan meri
Yeh samaa hai kaisa
Muskurane jaisa
Dheemi baarishein hain har jagah
Yeh nasha hai kaisa
Doob jaane jaisa
Jaagi khwaishein hain har jagah
Gazab ka hai yeh din
Gazab ka hai yeh din
Gazab ka hai yeh din dekho zara (x2)
Chal pade hain hum aisi raah pe
Befikar hue ke ab jaana kahan
Lapata hue saare raaste
Dhoondega humein yeh zamana kahan
Yeh samaa hai kaisa
Muskurane jaisa
Dheemi baarishein hain har jagah
Yeh nasha hai kaisa
Doob jaane jaisa
Jaagi khwaishein hain har jagah
Gazab ka hai yeh din
Gazab ka hai yeh din
Gazab ka hai yeh din dekho zara (x2)
No comments yet